Pardesi Babu (1998) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Pardesi Babu 1998 Information of Bollywood movie Pardesi Babu (1998)

Details on Dialogues from Bollywood movie Pardesi Babu released in year 1998.

Genre Action, Comedy, Drama

Dialogues
1) Aapki nazaron mein paisa pyar aur bhagwan dono se bada hai … aap samajhte hai joh madhurta paison mein hai woh Sharda ke sitar mein, Vishnu ke shank mein nahi … aap samajhte hai joh sundarta paison mein hai woh Rati ki surat mein nahi, swarg ki jhanki mein nahi … paise mein joh pavitatra hai woh Ganga ke pani mein nahi, Savitri ke daman mein nahi … paise mein joh taqat hai woh maa ke aashirwad mein nahi, devtaon ke zubaan mein nahi … satya, shiv, sundar sab paisa hai … jiske paas paisa hai woh raja aur jiske paas paisa nahi woh Raju?
by Govinda
in Money
tagged as: Drama, Money, Religion & God

~~ ~~
2) Joh dil ke kareeb hote hai na … unke rang, roop aur mahek kabhi nahi jaate
by Shilpa Shetty
in Romance
tagged as: Romance

~~ ~~
3) Is sansar mein koi kisi ka malik nahi aur koi kisi ka naukar nahi … sabka malik ek hai woh upar waala … hum sab ussi ke naukar hai
by Govinda
in Religion & God
tagged as: Inspiration, Religion & God

~~ ~~
4) Aankh ke andhe ko toh phir bhi thikana mil jaata hai … akal ke andhe ko koi thikana nahi milta
by Satish Kaushik
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
5) Dil left mein hota hai magar hamesha right hota hai
by Govinda
in Comedy
tagged as: Comedy

~~ ~~
6) Woh is duniya se alag toh nahi … lekin unka pyar is duniya se alag hai
by Raveena Tandon
in Romance
tagged as: Romance, World & Universe

~~ ~~
7) Agar hum mile toh hamara muqaddar … aur na mile toh hamari taqdeer
by Govinda
in Luck & Destiny
tagged as: Drama, Luck & Destiny

~~ ~~
8) Aapne insaan banaya achcha kiya, dil banaya bahut bura kiya … aapne duniya banayi achcha kiya, magar aapne paisa banaya bahut bura kiya
by Govinda
in Drama
tagged as: Drama, Money, World & Universe

~~ ~~
9) Pyar chhal nahi … tyag hai, tapasya hai, pooja hai, prarthana hai, ibaadat hai, ardaas hai
by Govinda
in Romance
tagged as: Drama, Romance

~~ ~~
10) Pyar karne waalon ko pyar khud apna falsafa batata hai
by Govinda
in Drama
tagged as: Drama, Romance

~~ ~~
11) Pehle paisa insaan ke haath ki mail hua karta tha … aur aaj insaan ke haath mail mein paisa dhoondte hai
by Govinda
in Money
tagged as: Drama, Money

~~ ~~
12) Amiron ke gharon ki deewaron mein roshni aane ke liye bahut si khidkiyan hoti hai … magar gareeb ke ghar mein toh roshni tabhi aati hai … jab us bechare ke ghar ki deewar girti hai
by Govinda
in House
tagged as: Drama, House

~~ ~~
13) Har taj sarr ke liye hota hai … lekin har sarr taj ke liye nahi
by Rajeev Verma
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
14) Oye guess kar … chawani doonga
by Satish Kaushik
in Comedy
tagged as: Comedy, Money

~~ ~~
15) Maine kisi devta ko nahi dekha … par tumhe dekh ke aaisa lagta hai ki woh tumse alag nahi hoga
by Avtar Gill
in Religion & God
tagged as: Drama, Religion & God

~~ ~~
16) Oh tu rail gaddi vich paida hui thi? … jab dekho Rajdhani Express ki tarah bhaagti hui nazar aati hai
by Satish Kaushik
in Transportation
tagged as: Comedy, Transportation

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Pardesi Babu (1998), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *