Wajood (1998) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Wajood 1998 Information of Bollywood movie Wajood (1998)

Details on Dialogues from Bollywood movie Wajood released in year 1998.

Genre Drama

Dialogues
1) Kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho … kaise bataon main tumhe tum dhadkanon ka geet ho, jeevan ka tum sangeet ho, tum zindagi, tum bandagi, tum roshni, tum taazgi, tum har khushi, tum pyar ho, tum preet ho, manmeet ho … aankhon mein tum, yaadon mein tum, saanson mein tum, aahon mein tum, neendon mein tum, khwaabon mein tum … tum ho meri har baat mein, tum ho mere din raat mein, tum subaah mein, tum shyaam mein, tum soch mein, tum kaam mein … mere liye paana bhi tum, mere liye khona bhi tum, mere liye hasna bhi tum, mere liye rona bhi tum aur jaagna sona bhi tum … jaaon kahin, dekhon kahin, tum ho wahan, tum ho wahin … kaise bataon main tumhe tum bin toh main kuch bhi nahi … kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho
by Nana Patekar
in Poem
tagged as: Music, Poem, Romance

~~ ~~
2) Kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho … yeh joh tumhara roop hai, yeh zindagi ki dhoop hai … chandan se tarsha hai badan, behti hai jis mein ek agan … yeh shokhiyan, yeh mastiyan, tumko hawaon se mili, zulfein ghataon se mili … hooton mein kaliyan khil gayi, aankhon ko jheele mil gayi … chehre mein simti chandni, awaaz mein hai ragini … sheeshe ke jaisa ang hai, phoolon ke jaisa rang hai, nadiyon ke jaisi chaal hai, kya husn hai, kya haal hai … yeh jism ki rangeeniyan, jaise hazaaron titliyan, baahon ki yeh golaiyan, aanchal mein yeh parchaiyan … yeh nagriyan hai khwaab ki, kaise bataon main tumhe haalat dil-e-betaab ki … kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho
by Nana Patekar
in Poem
tagged as: Poem, Romance

~~ ~~
3) Destiny bahut beraham hoti hai … yeh apne doston se mooh pherne par aur dushmanon se baat karne par majboor kar deti hai
by Nana Patekar
in Luck & Destiny
tagged as: Enemy, Friendship, Luck & Destiny

~~ ~~
4) Auraton par kabhi yakeen mat karna … mardon ke liye woh maut hoti hai … kubool kare toh shohar banakar maarti hai … thukra de toh deewana banakar
by Nana Patekar
in Women
tagged as: Husband & Wife, Men, Women

~~ ~~
5) Har koi degree diploma le, engineer banne koi zaroori nahi … Gavaskar, Tendulkar, Zakir Hussain ko koi nahi poochta … tumhari degree kya hai?
by Nana Patekar
in Education
tagged as: Education, Job & Career

~~ ~~
6) Ek fauji ke liye har lamha, har samna … ek ladai hai
by Nana Patekar
in War & Battle
tagged as: War & Battle

~~ ~~
7) Chal lekar apni naav chale, chandan chandani ke gaon chale … indradhanush ki behti dhara, uske paar teesra kinara … is safar mein aur koi nahi, yeh safar hai bas mera tumhara … ab kis dastak ka hai intezar, jab tumhe pukarta ho pyar aur samne ho sapnon ka sansar … chal lekar sapnon ki naav chale, chandan chandani ke gaon chale
by Nana Patekar
in Poem
tagged as: Poem, Romance, Transportation

~~ ~~
8) Kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho … kaise bataon main tumhe mere liye tum dharam ho, mere liye imaan ho … tum hi ibaadat ho meri, tum hi to chaahat ho meri … tum hi mera armaan ho, takta hoon main har pal jisse tum hi to voh tasveer ho, tum hi meri taqdeer ho … tum hi sitaara ho mera, tum hi nazaara ho mera … yudhyan mein mere ho tum, jaise mujhe ghere ho tum … purab mein tum, paschim mein tum, uttar mein tum, dakshin mein tum, saare mere jeevan mein tum, har pal mein tum, har chin mein tum … mere liye rasta bhi tum, mere liye manzil bhi tum, mere liye saagar bhi tum, mere liye saahil bhi tum … main dekhta bas tumko hoon, main sochta bas tumko hoon, main jaanta bas tumko hoon, main maanta bas tumko hoon, tum hi meri pehchaan ho … kaise bataon main tumhe, devi ho tum mere liye, mere liye bhagwaan ho … kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho
by Nana Patekar
in Poem
tagged as: Poem, Religion & God, Romance

~~ ~~
9) Yeh bangla, yeh jaidaat sab kuch cheena ja sakta hai … paas rehta hai toh sirf apna wajood
by Madhuri Dixit
in House
tagged as: Drama, House

~~ ~~
10) Hamare haathon mein itni hararat hai … ki kisi bhi jism ko tarashkar Taj Mahal bana de … aur unhi haathon mein itna barood thoosa hai … ke mazboot se mazboot killay ko bhi todh de
by Nana Patekar
in City & Places
tagged as: City & Places, Drama

~~ ~~
11) Koi bhi hunar, koi bhi kala, koi bhi sammaan joh paise mein tabdeel na ho na … uske peeche zindagi zayaa karna bilkul bekaar hai
by Rajeev Verma
in Money
tagged as: Life, Money

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Wajood (1998), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *