Pyaasa (1957) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Pyaasa 1957 Information of Bollywood movie Pyaasa (1957)

Details on Persons, Dialogues from Bollywood movie Pyaasa released in year 1957.

Genre Culture, Drama

Persons
Actor
Guru Dutt, Mala Sinha, Waheeda Rehman, Johnny Walker, Rehman
~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

Dialogues
1) Mujhe kisi insaan se koi shikayat nahi hai … mujhe shikayat hai samaaj ke us dhanche se joh insaan se uski insaaniyat cheen leta hai … matlab ke liye apne bhai ko beghana banata hai … dost ko dushman banata hai … mujhe shikayat hai us tehzeeb se, us sanskriti se jahan murdon ko puja jaata hai … aur zinda insaan ko pairon tale raunda jaata hai … jahan kisi ke dukh dard pe do aansoon bahana buzdili samjha jaata hai … chupke milna ek kamzori samjha jaata hai … aaise maahaul mein mujhe kabhi shanti nahi milegi, kabhi shanti nahi milegi
by Guru Dutt
in Drama
tagged as: Drama, Inspiration

~~ ~~
2) Jab hum chale toh saaya bhi apna na saath de … jab tum chalo zameen chale, aasmaan chale … jab hum ruke toh saath ruke shaam-e-bekasi … jab tum ruko bahaar ruke, chandni ruke
by Guru Dutt
in Shayari
tagged as: Romance, Shayari

~~ ~~
3) Garmi chahe mausam ki ho ya daulat ki … sirf gadhe hi magan rehte hai us mein
by Guru Dutt
in Weather
tagged as: Animals & Birds, Money, Weather

~~ ~~
4) Zindagi ki asli khushi doosron ko khush rakhke haasil ki jaati hai
by Guru Dutt
in Happiness
tagged as: Happiness, Inspiration, Life

~~ ~~
5) Tang aa chuke hai kashmakash-e-zindagi se hum … thukra dein jahaan ko kahin bedili se hum … hum ghamzada hai laaye kahan se khushi ke geet … denge wohi joh paayenge is zindagi se hum … ubhrenge ek baar abhi dil ke valvale … maana ke dab gaye hai gham-e-zindagi se hum … lo aaj humne todh diya rishta-e-umeed … lo ab kabhi gilaa na karenge kisi se hum
by Guru Dutt
in Poem
tagged as: Life, Poem, Sadness

~~ ~~
6) Gham is kadar badhe ke main ghabra ke pee gaya … is dil ki bebasi pe taras khake pee gaya … thukra raha tha mujhko badhi der se jahaan … main aaj sab jahaan ko thukra ke pee gaya
by Guru Dutt
in Shayari
tagged as: Sadness, Shayari, World & Universe

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Pyaasa (1957), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *