Jeene Nahi Doonga (1984) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Jeene Nahi Doonga 1984 Information of Bollywood movie Jeene Nahi Doonga (1984)

Details on Dialogues from Bollywood movie Jeene Nahi Doonga released in year 1984.

Genre Action

Dialogues
1) Main teri itni botiyan karoonga … ki aaj gaon ka koi bhi kutta bhookha nahi soyega
by Shatrughan Sinha
in Action
tagged as: Action, Animals & Birds, Village

~~ ~~
2) Barood tumhare andhar bhi bhara hai … bomb mere seene mein bhi sulag rahe hai … dhamaka jab hoga bade zor ka hoga
by Shatrughan Sinha
in Action
tagged as: Action

~~ ~~
3) Isaaniyat ka dhood pilane se saanpon ka zehar aur badhta hai
by Raj Babbar
in Animals & Birds
tagged as: Animals & Birds, Drama, Food & Drinks

~~ ~~
4) Aaisi bahut si aandhiyan aayi aur chali gayi … lekin koi is pahad ke seene mein chhed nahi kar saka
by Dharmendra
in Weather
tagged as: Rowdyism, Weather

~~ ~~
5) Zindagi band ghar ka diya banke reh gayi hai … joh na achchi tarah se jal sakta hai aur na hi poori tarah se bhujne mein aata hai
in Life
tagged as: Drama, House, Life

~~ ~~
6) Insaaniyat inteqam nahi … insaaf chahti hai, aman chahti hai
by Dharmendra
in Inspiration
tagged as: Inspiration, Revenge

~~ ~~
7) Duniya mein jeene ke sirf do hi tareeke hai … ya toh aadmi deewaron ke neeche dab jaye … ya phir deewaron se upar uth jaye
by Shatrughan Sinha
in World & Universe
tagged as: Inspiration, World & Universe

~~ ~~
8) Likhne waalon ke kalam toot gaye lekin meri kahaniyan phir bhi poori na ho saki
by Shatrughan Sinha
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
9) Mujhe iska itna lahu bahana hai … ki yeh safed ho jaye aur dharti laal
by Shatrughan Sinha
in Action
tagged as: Action

~~ ~~
10) Zulm ki talwar jab bhi mayaan se bahar nikalti hai … toh pehla khoon insaaniyat ka behta hai … fasaad ki aag jahan bhi lagti hai … usmein saare ghar begunahon ke jalte hai … khoon ki Holi khelte toh hai dushman … lekin rang mazloomon ke lahu ka bahaya jaata hai
by Parikshat Sahni
in Inspiration
tagged as: Enemy, House, Inspiration

~~ ~~
11) Hum yahan se door aur kahin upar behte hue taqdeer ke likhne waale ko nahi maante … hum uska likhne waala kalam todh bhi sakte hai … aur kalam se likhi hui taqdeer badal bhi sakte hai
by Shatrughan Sinha
in Luck & Destiny
tagged as: Drama, Luck & Destiny

~~ ~~
12) Aandhiyon ke darr se log apne hi diyon ko apni hi phoonkon se bhujane lagenge … toh mohabbat ki duniya mein sirf andhera reh jayega
by Raj Babbar
in Drama
tagged as: Drama, Weather

~~ ~~
13) Aaj jee bharke mandir ke samne sar tek le … iske baad yeh magroor sar na uthne ka kabil rahega na jhukne ke kabil
by Dharmendra
in Drama
tagged as: Drama, Rowdyism

~~ ~~
14) Laundiya bhi garam hai aur malai ki tarah naram hai
by Jagdeep
in Food & Drinks
tagged as: Comedy, Food & Drinks

~~ ~~
15) Yahi toh kamaal hai mohabbat ka … woh insaan ko zulm ke andhere kuye se nikalkar aasman ki us chaukhat tak pahuncha deti hai … jahan suraj bhi roshni ki bheek mangne aata hai
by Parikshat Sahni
in Romance
tagged as: Romance, World & Universe

~~ ~~
16) Is ghar mein us waqt tak koi khushi nahi ho sakti … jab tak hum dushman ke ghar mein khushiyon ke chiragon ko gham ke andheron mein na badal de
by Shatrughan Sinha
in House
tagged as: Happiness, House, Sadness

~~ ~~
17) Zakhm teri chaati mein hoga … aur khoon mere dil se bahega
by Anita Raj
in Romance
tagged as: Romance

~~ ~~
18) Waqt ki chakki mein ek din zameen aur aasman pis jayenge … lekin mohabbat ka nagma goonjta rahega … hamesha goonjta rahega
by Parikshat Sahni
in Time
tagged as: Music, Romance, Time

~~ ~~
19) Is ghar ko aag lag gayi ghar ke chirag se … baat teri meri ban gayi tere dimaag se
by Jagdeep
in Shayari
tagged as: Comedy, House, Shayari

~~ ~~
20) Pyar woh sachai hai jiski dor mein sari duniya bandhi hui hai
by Parikshat Sahni
in Romance
tagged as: Romance, World & Universe

~~ ~~
21) Tum bahut khush kismat ho … joh aaj tumne Shaka ki sirf muskurahat dekhi hai … maathe pe padhe huye woh bal nahi dekhe … joh zindagi ke khet mein maut ke hal chala dete hai
by Shatrughan Sinha
in Rowdyism
tagged as: Death, Life, Rowdyism

~~ ~~
22) Yeh toofan toh soo raha tha aman ke badalon ko apna takiya banakar … isse jagaya bhi tumne hai aur uthaya bhi tumne
by Dharmendra
in Drama
tagged as: Drama, Weather

~~ ~~
23) Mere andhar joh toofan uth raha hai is waqt … jee chahta hai duniya ke saare diye bhuja doon … mere dil ke andhar joh chitta jal rahi hai is waqt … usmein sirf tumhari hi nahi, iski laash bhi chahiye
by Shatrughan Sinha
in Drama
tagged as: Drama, Weather

~~ ~~
24) Mohabbat ke sailaab ke samne har deewar toot jaati hai
by Parikshat Sahni
in Romance
tagged as: Romance, Weather

~~ ~~
25) Aag se aag nahi bujhti … naa hi zulm se zulm ka khatma ho sakta hai
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
26) Upar waale se dua maango ki duniya mein joh bhi toofan aaye sar se guzar jaye tumhare … lekin is aandhi se tumhara paala kabhi na padhe
by Shatrughan Sinha
in Weather
tagged as: Rowdyism, Weather

~~ ~~
27) Tum Shaka ko zanjeeron ka jaal toh pehna sakte ho … magar hamesha ke liye usse bandkar rakh nahi sakte
by Shatrughan Sinha
in Rowdyism
tagged as: Rowdyism

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Jeene Nahi Doonga (1984), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *