Information of Bollywood movie Jaisi Karni Waisi Bharni (1989)
Details on Persons, Dialogues from Bollywood movie Jaisi Karni Waisi Bharni released in year 1989.
Persons
Actor
Govinda, Kimi Katkar, Kader Khan, Shakti Kapoor
Director
Vimal Kumar
~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~
Dialogues
1) Haraam ki daulat insaan ko shuru shuru mein sukh zaroor dilati hai … magar baad mein le jaakar ek aaise dukh ke sagar mein dhakel deti hai … jahan marte dum tak sukh ka kinara kabhi nazar nahi aata hai
by Kader Khan
in Happiness
tagged as: Drama, Happiness, Sadness
~~ ~~
2) Agar insaan dukh se dosti karle … toh phir zindagi mein kabhi usko sukh ki tamanna hi nahi rahegi
by Kader Khan
in Sadness
tagged as: Happiness, Life, Sadness
~~ ~~
3) Sukh toh bewafaa tawaif ki tarah hai … joh aaj iske pass, kal uske pass
by Kader Khan
in Happiness
tagged as: Drama, Happiness
~~ ~~
4) Insaan ki zindagi ek aaine ki tarah hoti hai … farak itna hai ki aam aaine mein hum joh harkat karte hai uski tasveer us hi waqt nazar aa jaati hai … magar zindagi woh aaina hai ki aaj kiya hue harkat ki tasveer barso baad nazar aati hai
by Kader Khan
in Life
tagged as: Drama, Inspiration, Life
~~ ~~
5) Jahan paisa roti ki hadh se badh gaya … wahin insaan baimaani ke daldal mein gadh gaya
by Kader Khan
in Money
tagged as: Drama, Food & Drinks, Money
~~ ~~
6) In duniya mein jis insaan ke paas har sawaal ka jawab nahi hota hai … kabhi kabhi uski apni zindagi sawaal ban jaya karti hai
by Kader Khan
in Life
tagged as: Drama, Life
~~ ~~
7) Yeh zindagi ek khet ki tarah hai jahan insaan … kisan ki tarah paap aur punya ke beejh bohta hai
by Kader Khan
in Life
tagged as: Drama, Life
~~ ~~
8) Jaane do isse … is waqt yeh khudgarzi ke ghode pe savar, barbaadi ke toofan mein udhta hua chala ja raha hai … aur aaise sawar ko waqt ke thappad aur zamaane ki thokar ke sivah koi nahin rok sakta hai
by Kader Khan
in Drama
tagged as: Drama, Time
~~ ~~
9) Tumhari umar mere tajurbe se bahut kam hai … tumne utni Diwaliyan nahi dekhi hai jitni maine tum jaise bikne waalon ki barbaadiyan dekhi hai
by Kader Khan
in Drama
tagged as: Drama, Festival
~~ ~~
10) Aaj kal ke yug mein har cheez ke daam bhad gaye hai … magar aadmi ki nazar mein insaaniyat ke daam ghat gaye hai
by Govinda
in Drama
tagged as: Drama
~~ ~~
11) Hasso mat … aaj se tumhare rone ke din shuru ho gaye hai
by Shakti Kapoor
in Comedy
tagged as: Comedy
~~ ~~
12) Aulad ki judai ka dard … maut ke dard se bhi zyada hota hai
by Govinda
in Parents
tagged as: Death, Drama, Parents
~~ ~~
13) Shabdon ke teer maar maarkar mujhe aur zakhmi mat kar
by Shakti Kapoor
in Drama
tagged as: Drama
~~ ~~
14) Humse takrane waale ka ek hi anjaam hota hai … jisse Hindi mein maut aur angrezi mein death kehte hain
by Gulshan Grover
in Action
tagged as: Action, Death
~~ ~~
15) Bahut oonchi boli bolta hai tu … magar aaj main tujhe itna ooncha pahuncha doonga ki hamesha ke liye bolti bandh kar doonga
by Gulshan Grover
in Action
tagged as: Action
~~ ~~
16) Mujhe hisaab kitaab karna bahut achchi tarah se aata hai
by Gulshan Grover
in Comedy
tagged as: Comedy
~~ ~~
17) Main toh aapse dur rehna chahta hoon … magar yeh kambhakt haath uchal uchal ke, uchal uchal ke … tumse chipak jaata hai
by Govinda
in Comedy
tagged as: Comedy
~~ ~~
18) Aapne joh samjhaya meri samajh mein kuch nahi aaya … kyun ki aapki joh samajh hai na meri samajh ki samajh se bahar hai
by Govinda
in Comedy
tagged as: Comedy
~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~
In case there is some content missed or incorrect from the movie Jaisi Karni Waisi Bharni (1989), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.
Leave a Reply