Shandaar (1990) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Shandaar 1990 Information of Bollywood movie Shandaar (1990)

Details on Persons, Dialogues from Bollywood movie Shandaar released in year 1990.

Persons
Actor
Mithun Chakraborty, Mandakini, Meenakshi Sheshadri, Juhi Chawla, Sumeet Saigal, Kader Khan
Music
Bappi Lahiri
~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

Dialogues
1) Sona ho ya chandi, usse tolne ka tarazu lohe ya peetal hi ka hota hai … is hi tarah duniya ki har cheez insaaniyat ke tarazu pe toli jaati hai
by Yunus Parvez
in Inspiration
tagged as: Inspiration

~~ ~~
2) Main akela hi chala tha apni manzil ki taraf … log saath aate gaye aur karavan banta gaya … khoon-e-dil se humne likhi gham ki yoon dastan … zindagi ka shandar ek gulsitan banta gaya
in Shayari
tagged as: Life, Shayari

~~ ~~
3) Ek gareeb ki sabse badi daulat uski izzat hai … aur woh izzat dekar bhi apna pyar, apne sapne kabhi nahi khareed sakta
by Juhi Chawla
in Drama
tagged as: Drama, Dreams

~~ ~~
4) Har daulat ke peeche koi na koi jurm hota hai … aur jab tak jurm nahi karta na koi lakhpati banta hai, na crorepati
by Danny Denzongpa
in Crime
tagged as: Crime, Money

~~ ~~
5) Mere maula kab talak gussa na unpar aayega … zaalimon pe rehman aakhir kab talak farmayega … kab talak hote rahenge bekason pe zulm aur sitam … kab talak yeh khooni manzar bastu dete jayega
by Saeed Jaffrey
in Shayari
tagged as: Shayari

~~ ~~
6) Daulat ki mandi mein kanoon hamare isharon par kathputli ki tarah naachta hai … aur insaaf hum karte hai, hum
by Kader Khan
in Money
tagged as: Law & Order, Money

~~ ~~
7) Agar ab bhi tumhe gareeb ki taqat ka andaaza nahi toh jao … duniya mein jitne mahal bane hai … unki khandaron ki ek ek eent se poocho ki tumhe banane waala kaun aur mitaane waala kaun … yeh sachai hai
by Mithun Chakraborty
in House
tagged as: Drama, House

~~ ~~
8) Yeh woh danda hai joh badan pe pade toh chamdi phatti nahi hai … dard haddiyon tak ghus jaata hai
by Danny Denzongpa
in Action
tagged as: Action

~~ ~~
9) Gareebon ka khoon jab saanche mein dhalta hai toh yeh sikka banta hai … aur jab yeh sikka bazar mein tulta hai … toh kisi gareeb ke bhai ko kitaabein milti hai, college milta hai … aane waale sunhere kal ki umeedein milti hai
by Mithun Chakraborty
in Drama
tagged as: Drama, Education, Money

~~ ~~
10) Zulm phir zulm hai … badta hai toh mitt jaata hai … khoon phir khoon hai … tapakta hai toh jam jaata hai
in Shayari
tagged as: Shayari

~~ ~~
11) Mohabbat ho ya jung … do hi cheezein jeeta sakti hai … ek rokda aur doosra danda
by Danny Denzongpa
in Money
tagged as: Money, Victory & Success, War & Battle

~~ ~~
12) Iski laash ke itne tukde banenge … ki rone waala yeh bhi samajh nahi payega ki kis tukde ko pakadkar roye
by Danny Denzongpa
in Action
tagged as: Action

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Shandaar (1990), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *