Madam X (1994) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Madam X 1994 Information of Bollywood movie Madam X (1994)

Details on Dialogues from Bollywood movie Madam X released in year 1994.

Genre Action, Crime, Drama, Thriller

Dialogues
1) Vasuli mein hum rupaye nahi … samne waale ke maathe par pasine ki boondein ginte hai
by Rekha
in Money
tagged as: Money, Rowdyism

~~ ~~
2) Galatfahmi mein jeene waale … asliyat mein mar jaate hai
by Rekha
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
3) Hum hai maut ki woh express … duniya jise kehti hai Madam X
by Rekha
in Rowdyism
tagged as: Death, Rowdyism

~~ ~~
4) Yeh kanoon ke woh baap hai joh apni duty ko apni gaud mein jhula jhulakar, usse pyari pyari lori sunakar sula dete hai … aur aapke noton ka pankha banakar usse thandi thandi hawa dete hai
by Shakti Kapoor
in Money
tagged as: Comedy, Law & Order, Money

~~ ~~
5) Koi hum mein maarkar hamara anth kya karega … mitne waale nahi hai hum, koi hamara khaatma kya karega … zindagi ko apni qaid mein liye ghoomte hai hum … koi zindagi se hum mein juda kya karega
by Rekha
in Poem
tagged as: Inspiration, Life, Poem

~~ ~~
6) Jab bhi hamare samne koi bewakoof akalmandi ka taj pehenne ki jurrat karta hai … toh taj toh uske haathon mein hota hai magar pehenne ke liye uska sar nahi hota
by Rekha
in Rowdyism
tagged as: Rowdyism

~~ ~~
7) Humse dushmani modh lekar tumne zehareelay bichhoo ka dank apne shareer mein gaadh liya hai … aur bichhoo ke dank se aadmi marta nahi hai … zindagi bhar tadapta aur sisakta rehta hai … tum bhi jab tak jeeoge tadapte aur sisakte hi rahoge
by Rekha
in Enemy
tagged as: Animals & Birds, Enemy, Rowdyism

~~ ~~
8) Hamare paas duniya par nazar rakhne waali itni aankhen hai … jitni shayad aasman par sitaare bhi na ho
by Rekha
in World & Universe
tagged as: Drama, World & Universe

~~ ~~
9) Hamari saanson ki awaaz sunkar toh maut ke farishtay bhi gabrakar bhaag jaate hai
by Rekha
in Rowdyism
tagged as: Death, Rowdyism

~~ ~~
10) Dimaag ki aankh se dekhne waale … chehre ki aankhon ka bahut kam istamal karte hai
by Rekha
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
11) Jis tarah yamraj ko sirf yamlok hi dekh sakta hai … ussi tarah Madam X ki shakal bhi sirf uska apna samraj hi dekh sakta hai … joh bhi hamari jhalak dekhne ki jurrat karta hai … woh jalkar aaise dhuan ho jaata hai ki na zameen ko uski khaak milti hai, na hawaon ko uski raakh
by Rekha
in Rowdyism
tagged as: Death, Rowdyism

~~ ~~
12) Main uske jism par itne zakhm kar doonga … ki sirf zakhm hi zakhm nazar aayenge … jism nahi
by Raza Murad
in Action
tagged as: Action

~~ ~~
13) Shikaar ke waqt sherni jis zameen par apne khunkhar panje rakhti hai … us zameen ko bhi uske chalne ka ehsaas nahi hota … ehsaas tab hota hai jab shikaar kiya hua khoon zameen par bikhar jaata hai
by Rekha
in Animals & Birds
tagged as: Animals & Birds

~~ ~~
14) Kanoon hamari giraftari ka plan baad mein banata hai … hum usse todne ke raaste pehle hi bana lete hai
by Rekha
in Law & Order
tagged as: Law & Order, Rowdyism

~~ ~~
15) Yeh maut bhi kitni ajeeb cheez hai … insaan usse mehsoos karte hi, zindagi ke aanchal mein chanchal balak ki tarah tadapne lagta hai
by Rekha
in Death
tagged as: Death, Life

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Madam X (1994), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *