Information of Bollywood movie Jaan (1996)
Details on Dialogues from Bollywood movie Jaan released in year 1996.
Genre Action, Romance
Dialogues
1) Shukriyada karne se ehsaan khatam ho jata hai … aur agar ehsaan khatam ho jaaye toh dosti kaise shuru hogi
by Twinkle Khanna
in Friendship
tagged as: Friendship
~~ ~~
2) Maut ke saath sirf zindagi khatam hoti hai … mohabbat nahi
by Ajay Devgan
in Death
tagged as: Death, Life, Romance
~~ ~~
3) Koi bhi insaan paidaishi mujrim nahi hota … ya toh banaya jaata hai, ya phir ban jaata hai
by Ajay Devgan
in Thief & Criminal
tagged as: Drama, Thief & Criminal
~~ ~~
4) Main tumhari maut bankar aaya tha … lekin tum meri zindagi ban gayi
by Ajay Devgan
in Life
tagged as: Death, Life
~~ ~~
5) Jab bade, bade na rahe … toh bachchon ko bada banna padta hai
by Twinkle Khanna
in Drama
tagged as: Drama
~~ ~~
6) Dil sirf dhadakne ki bhasha jaanta hai … usse yeh nahi pata hota woh kyun dhadak raha hai … kiske liye dhadak raha hai
by Vivek Mushran
in Romance
tagged as: Romance
~~ ~~
7) Joh apne aap se ladta hai … woh hamesha haar jaata hai
by Twinkle Khanna
in Defeat & Failure
tagged as: Defeat & Failure
~~ ~~
8) Seene mein jis raftaar se goli utarti hai … usse zyada raftaar se pyar
by Twinkle Khanna
in Romance
tagged as: Drama, Romance
~~ ~~
9) Goli ka koi imaan nahi hota … woh yeh nahi dekhti ki jis seene mein woh ghus rahi hai … woh seena kiska hai
by Suresh Oberoi
in Drama
tagged as: Drama
~~ ~~
10) Zakhm ko zakhm nahi samajhna bahaduri nahi … bewakoofi hoti hai
by Twinkle Khanna
in Courage
tagged as: Courage
~~ ~~
11) Jab aurat baazi khelti hai toh uske haath mein jitne patte hote hai na … utne hi uski aasteen mein
by Bindu
in Women
tagged as: Drama, Gambling, Women
~~ ~~
12) Yeh dastarkhwan ek aaisi jagah hai … jahan do insaan saath baithkar rotiyan todhte hai aur dil jodhte hai
by Saeed Jaffrey
in Food & Drinks
tagged as: Food & Drinks, Romance
~~ ~~
13) Maut toh muft mein badnaam hai … jaan toh zindagi leti hai
by Ajay Devgan
in Life
tagged as: Death, Life
~~ ~~
14) Zindagi bhar zillat ke tukdon par palte palte hamari haalat us apahij ki tarah ho gayi hai … jiske paas chalne ke liye baisakhi toh hai … par usse pakadne ke liye haath nahi
by Vishwajeet Pradhan
in Comedy
tagged as: Comedy
~~ ~~
15) Hindustan ke fauladi bazoo zung nahi khate
by Amrish Puri
in Patriotism
tagged as: Patriotism
~~ ~~
16) Agar jurm ko khatam karna hai toh mujrim ko berahami se foran khatam kar dena chahiye … I believe in bullet for bullet
by Amrish Puri
in Crime
tagged as: Action, Crime, Thief & Criminal
~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~
In case there is some content missed or incorrect from the movie Jaan (1996), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.
Leave a Reply