Andar Baahar (1984) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Andar Baahar 1984 Information of Bollywood movie Andar Baahar (1984)

Details on Dialogues from Bollywood movie Andar Baahar released in year 1984.

Genre Action, Thriller

Dialogues
1) Kabab mein haddi toh suna tha … yeh saala poora bakra kahan ghus aaya
by Anil Kapoor
in Animals & Birds
tagged as: Animals & Birds, Comedy

~~ ~~
2) Goli maar maarke ek ek aadmi ki laash ko sadak pe us tarah phekenge … jaise juari jua khelte table pe taash ke patte phekta hai
by Sudhir
in Action
tagged as: Action, Gambling

~~ ~~
3) Zameen aur aasman ke beech jitni bhi cheezein hai … mujhe dekh kar unki rooh fanaa ho jaati hai … aag ghabrakar baraf ho jaati hai … aur baraf ghabrakar pani
by Danny Denzongpa
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
4) Shera ki suvar ki khopdi mein lomdi ki tarah chalaak dimag hai … pahad khodkar chuha nikaal leta hai … kabar khodkar murda nikaal leta hai … aur aatma ka gala dabakar parmatma ka pata nikaal leta hai
by Danny Denzongpa
in Animals & Birds
tagged as: Action, Animals & Birds

~~ ~~
5) Pichle janam mein tum zaroor maachis ki dibiya rahe hoge … is liye is janam mein baatein kam aur mooh se chingaariya zyada nikalte ho
by Anil Kapoor
in Life
tagged as: Comedy, Life

~~ ~~
6) Jab khud ke latakne ki baari aati hai na … toh chehra khud-ba-khud latak jaata hai
by Jackie Shroff
in Comedy
tagged as: Comedy

~~ ~~
7) Apun bhi apni marzi ka maalik hai … apne mood ka badshah hai
by Anil Kapoor
in Rowdyism
tagged as: Comedy, Rowdyism

~~ ~~
8) Kyun meri Kashmir jaisi zindagi ko Kurukshetra banane pe tuli ho?
by Jackie Shroff
in City & Places
tagged as: City & Places, Comedy, War & Battle

~~ ~~
9) Is aadmi ki parchai bhi kisi pe padh jaye na … toh wahi marr jaye … itna zehareela hai yeh
by Anil Kapoor
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
10) Papaya jaisa chehra, chikoo jaisi aankhen, tarbuj jaisa badan … ladki hai yah fruit ki tokri?
by Anil Kapoor
in Food & Drinks
tagged as: Comedy, Food & Drinks

~~ ~~
11) Joh bhi apni zubaan nahi kholta hai … main uske bheje ka dhakan khol deta hoon
by Anil Kapoor
in Rowdyism
tagged as: Action, Rowdyism

~~ ~~
12) Jis tarah cigarette peene ke baad tukde ko phek diya jaata hai … uss hi tarah kaam khatam ho jaane ke baad chamcho ko khatam kar deta hai Shera
by Danny Denzongpa
in Action
tagged as: Action

~~ ~~
13) Tum jaisi auraton ke pair ke neeche swarg hota hai … aur aaj kal ki auraton ke pair ke neeche sandal … joh sadak pe kam aur mardon ke sarr pe zyada chalti hai
by Jackie Shroff
in Women
tagged as: Clothes & Shoes, Comedy, Women

~~ ~~
14) Jab aulaad jawaan ho jaati hai na … tab naukrani ki nahi … bahurani ki zaroorat hoti hai
by Sulochana Latkar
in Family
tagged as: Comedy, Family, House

~~ ~~
15) Mera kaam tumhe sarkari mehmaan banana hai
by Jackie Shroff
in Government
tagged as: Government, Guest

~~ ~~
16) Waqt, mauka, nazaqat, halat … kuch toh dekh kar aaya karo?
by Anil Kapoor
in Comedy
tagged as: Comedy, Time

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Andar Baahar (1984), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *