Balika Badhu (1976) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Balika Badhu 1976 Information of Bollywood movie Balika Badhu (1976)

Details on Persons, Dialogues from Bollywood movie Balika Badhu released in year 1976.

Persons
Actor
Sachin, Rajni Sharma, Asrani, A.K. Hangal, Prema Narayan, Urmila Bhatt, Paintal, Asit Sen, Om Shivpuri, Preeti Ganguli
Director
Tarun Majumdar
~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

Dialogues
1) Teri aankhon mein doobun, ya teri palkon se khel karun … ya kho jaun teri zulfon ke jungle mein, ya apna dil rakh doon tere komal pairon ke neeche … ab shuru kahan se ho jaun, yeh nahi samjh mein aata hai … is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
by Asrani
in Poem
tagged as: Poem, Romance

~~ ~~
2) Pyar ki shuruvat hai rota hai kya … aage aage dekhiye hota hai kya
by Asrani
in Shayari
tagged as: Comedy, Romance, Shayari

~~ ~~
3) Tere nainon ki khidki se yeh mujhko kaun bulata hai … chandni ishara karti hai aur chand sitaar bajata hai … pagalpan mein kuch kar baithun toh doshi mujhko mat kehna … is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
by Asrani
in Poem
tagged as: Music, Poem, Romance

~~ ~~
4) Bhagwan bahut acha hai tu, naari kya cheez banayi hai … isko koi samajh na paya hai, sab duniya chakkar khayi hai … arre yeh chakkar hi toh sab kuch hai, baki toh aata jaata hai … woh yowan chullu mein layi, yeh ullu sher sunata hai … is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
by Asrani
in Poem
tagged as: Poem, Romance, Women

~~ ~~
5) Bhool jao sab taaron ko, phoolon ko, bahaaron ko, aur yaad karo pehla chumban joh aag bhi tha aur sheetal bhi … ab toh bas tum ho, roop tera, yowan tera, masti teri … ab toh bas meri saansein hai teri palkon ko sek rahi … bas do shareer ho jaye ek, dil itni baat manata hai … is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
by Asrani
in Poem
tagged as: Flowers & Trees, Poem, Romance

~~ ~~
6) Yeh rang birange phoolon ke haar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ka sehra hai … kitni khushi ki hai ghadi kaisi pyari baat … aaj Rajni ke dwar aayi Amal ki baraat … nazaren milke jhuk rahi hai haathon mein hai haath … aaj se do jan rahenge milke ek saath … yeh do dilon ke taaron ki jhankar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ke sehra hai
in Poem
tagged as: Clothes & Shoes, Marriage & Wedding, Poem

~~ ~~
7) Rajni jise pyar se hum sab kahe cheeni … chamke yun ghunghat mein joh badal mein chandni … chupa rahi hoothon pe muskaan bhini-bhini … sharmili aankhon mein hai sapno ki rangini … yeh dulhan ke solah singaar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ke sehra hai … itna aur kahenge tumse dulha bhai … hamari cheeni toh hai khoye cheeni ki mithai … pyar ki dhoop mein hai yeh kali khilayi … ispe na aaye kabhi dukh ki parchai … yeh pyar ke mausam sada bahaar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ka sehra hai
in Poem
tagged as: Clothes & Shoes, Marriage & Wedding, Poem

~~ ~~
8) Tan dubla dubla, baal bikhare bikhare, aankhon ke neeche kaalik … tumhari yeh haalat kisne ki balak?
by Asrani
in Comedy
tagged as: Comedy

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Balika Badhu (1976), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *