Khuddar (1994) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Khuddar 1994 Information of Bollywood movie Khuddar (1994)

Details on Dialogues from Bollywood movie Khuddar released in year 1994.

Genre Action

Dialogues
1) Kuch parinde aaise bhi hote hai joh halaat ke pinjre mein qaid toh hote hai magar majboor nahi hote … unki baazuon mein itni taqat hoti hai ki woh pinjra samet udh jaate hai
by Govinda
in Animals & Birds
tagged as: Animals & Birds, Drama

~~ ~~
2) Jab dus kamine marte hai toh ek kutta pehda hota hai … jab sau kutte marte hai toh ek soovar pehda hota hai … aur jab ek hazaar soovar marte hai toh ek bhadwa pehda hota hai … aur jab ek lakh bhadwe marte hai tab tujh jaisa ek ganda neta pehda hota hai
by Govinda
in Animals & Birds
tagged as: Animals & Birds, Politics

~~ ~~
3) Duty ek aaisi cheez hai joh kabhi kabhi rote huye bhi nibhani padti hai
by Shreeram Lagoo
in Job & Career
tagged as: Drama, Job & Career

~~ ~~
4) Kathin pariksha mein pass ho jaana meri buri aadat hai
by Govinda
in Education
tagged as: Comedy, Education

~~ ~~
5) Yeh bhashan nahi yeh meri warning hai … aur meri warning tumhare is cigarette case ke upar likhi hui warning ki tarah nahi … jisse tum bhoolkar cigarette ke kash lagaya karte ho … meri warning kanoon ke kitaab ke us full stop ki tarah hai … jiske baad kuch bhi karne ya sochne ki jagah nahi bachti
by Govinda
in Drama
tagged as: Drama, Law & Order

~~ ~~
6) Vidyarthi woh hote hai joh vidya ka arth nikaalte hai … magar aap log toh vidya ki arthi nikaal rahe hai
by Govinda
in Comedy
tagged as: Comedy, Education

~~ ~~
7) Joh imaandaron se gaddari karega … woh gaddaron se imaandari karega
by Kader Khan
in Truth & Honesty
tagged as: Lies & Cheating, Truth & Honesty

~~ ~~
8) Main tumhare jism ko vardi ki jagah zakhmon ka libaaz pehna doonga … aur phir tum dard se itna tadpoge ke uske baad maut ko bhi chakhoge toh yahi kahoge ke … maaza nahi aaya
by Govinda
in Action
tagged as: Action, Clothes & Shoes, Death

~~ ~~
9) Joh log waqt ke dhaare mein kagaz ki naav ki tarah beh jaate hai … unhe ek mamuli si lehar bhi dooba deti hai
by Govinda
in Time
tagged as: Drama, Time

~~ ~~
10) Woh shaadi hi kya teri dawat nahi jis mein … aur woh aag hi kya teri soorat nahi jis mein
by Govinda
in Marriage & Wedding
tagged as: Marriage & Wedding, Romance, Shayari

~~ ~~
11) Jab logon ki bahaduri baanjh ho jaati hai … tabhi Kapali jaise gunde pehda hote hai
by Govinda
in Courage
tagged as: Courage

~~ ~~
12) Tum meri zindagi mein full stop toh kya comma bhi nahi laga sake … lekin main tumhari zindagi mein full stop zaroor lagaonga
by Shakti Kapoor
in Life
tagged as: Drama, Life

~~ ~~
13) Zaat duniya mein sirf do tarah ki hoti hai … ek woh joh aasoon peeta hai, ek woh joh khoon peeta hai … ek woh joh insaaniyat ko aabad karta hai, ek woh joh insaaniyat ko barbaad karta hai
by Govinda
in Drama
tagged as: Drama, World & Universe

~~ ~~
14) Mere nasson mein khoon ke saath saath barood bhi behta hai … aur aaj tujhe is barood ke dhamake bhi sunne padenge
by Govinda
in Action
tagged as: Action

~~ ~~
15) Tum ghadi ki keemat toh jaante ho … magar waqt ki keemat nahi jaante
by Govinda
in Time
tagged as: Time

~~ ~~
16) Agar tu ghar mein chupa raha toh chuhe ki maut maara jayega … aur agar bahar nikal aaya toh geedar ki maut … bol tujhe kaunsi maut chahiye?
by Govinda
in Action
tagged as: Action, Animals & Birds, Death

~~ ~~
17) Aadmi ke paas jis prakaar ka astra shastra ho … ussi prakaar ka yudh ladna chahiye … tabhi usko safalta milti hai
by Rami Reddy
in War & Battle
tagged as: Action, Victory & Success, War & Battle

~~ ~~
18) Chola aur kursi badal jaane se aadmi ki janam kundli nahi badalti
by Govinda
in Clothes & Shoes
tagged as: Clothes & Shoes, Drama

~~ ~~
19) Main nafrat ke mohron se dushmani ka shatranj ussi ki bisaat pe khelonga … aur aaisi maat doonga, aaisi maat doonga ki maut bhi roo padegi
by Shakti Kapoor
in Enemy
tagged as: Death, Enemy, Sports & Games

~~ ~~
20) Agar aap log yeh chahte hai … ki aap logon ki khuddi ko mittane ke liye agar gundon ki khudai bhi aa jaye aur mitta na sake … toh aap logon ko khuddar banna padega
by Govinda
in Inspiration
tagged as: Drama, Inspiration

~~ ~~
21) Jab shehar ki taqdeer harami ho jaati hai … tab Kapali jaisa ek haramzada pehda hota hai
by Govinda
in Luck & Destiny
tagged as: City & Places, Drama, Luck & Destiny

~~ ~~
22) Imaandari woh ganja sar hai jispar noton ke baal kabhi ugh hi nahi sakte … thodi si baimaani ki tel ki malish karte rehna chahiye
by Kader Khan
in Truth & Honesty
tagged as: Lies & Cheating, Money, Truth & Honesty

~~ ~~
23) Gundon ka rakhail kabhi gareebon ka rakhwaala nahi ban sakta
by Govinda
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
24) Har woh kadam joh kanoon todne ke liye aage badega … main usse apahij kar doonga
by Govinda
in Law & Order
tagged as: Action, Law & Order

~~ ~~
25) Tumhe is baat ka koi haq na pahunchta ki police ki farz ki Ganga joh ki kanoon ki Gangotri se nikalti hai … usse tum apni gandi aadaton ke gutter mein dal do
by Govinda
in Police
tagged as: Drama, Law & Order, Police

~~ ~~
26) Log toh sirf rupaiya aur izzat par daaka dalte hai … magar tumne hamare vishvas par daaka daala hai
by Govinda
in Drama
tagged as: Drama, Money

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Khuddar (1994), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *