Paigham (1959) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Paigham 1959 Information of Bollywood movie Paigham (1959)

Details on Dialogues from Bollywood movie Paigham released in year 1959.

Genre Culture, Drama

Dialogues
1) Insaan patthar ki chot seh sakta hai … lekin yeh buri nazar ke vaar se bachna bahut mushkil hai
by Raaj Kumar
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
2) Mohabbat kisi ke kehne se nahi ki jaati aur na kisi ke hukum se todi ja sakti hai
by Vyjayanthimala
in Romance
tagged as: Drama, Romance

~~ ~~
3) Pet ki awaaz ke samne aatma aur parmatma dono ki awaaz gayab ho jaati hai
by Johnny Walker
in Comedy
tagged as: Comedy, Religion & God

~~ ~~
4) Rupaiya kya hai? … mitti ki tarah ek bejaan aur bekaar cheez hai … lekin jis tarah mitti mein mehnat ka beejh ugaye bagair paidawar nahi ho sakti … ussi tarah rupaiya ke saath jab tak mehnat ka mel nahi hoga … duniya mein kabhi koi tarakki nahi kar sakega
by Dilip Kumar
in Money
tagged as: Inspiration, Money, Victory & Success

~~ ~~
5) Agar woh bechara ek din kaam par nahi jaata … toh us bechare ke ghar mein chula nahi jalta … aur jis din chula nahi jalta … uska pet jalta hai, uski aatma jalti hai
by Dilip Kumar
in Drama
tagged as: Drama, House

~~ ~~
6) Agar aaj hum sab aapas mein milkar aur apne kaam ko apna dharam samajhkar kare … toh kal hamara desh bhi duniya ke sare mulkon ke aage apna sar ooncha karke khada ho sakega
by Dilip Kumar
in Patriotism
tagged as: Inspiration, Patriotism

~~ ~~
7) Jis dhan ke liye aap duniya se dokha kar rahe hai, apne azeezon se, apne doston se dokha kar rahe hai, apne saathiyon se dokha kar rahe hai … ussi dhan ke haathon aap khud bhi dokha khayenge
by Dilip Kumar
in Money
tagged as: Lies & Cheating, Money

~~ ~~
8) Hum toh sirf yeh chahte hai sethji … ki hamara aur aapka amir ya garib ka rishta na rahe … malik ya mazdoor ka rishta na rahe … balki hum dono ke darmiyan ek insaan aur insaan ka rishta kayam ho
by Dilip Kumar
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
9) Kisi insaan ka yun khatam hona achcha nahi … khatam toh honi chahiye uski burai, uska chotapan, uski khudgarzi
by Dilip Kumar
in Inspiration
tagged as: Inspiration

~~ ~~
10) Insaan apne maa baap ke naam se nahi … apne ghuno se achcha ya bura samjha jaata hai
by Dilip Kumar
in Parents
tagged as: Drama, Parents

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Paigham (1959), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *