Prem Aggan (1998) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Prem Aggan 1998 Information of Bollywood movie Prem Aggan (1998)

Details on Persons, Dialogues from Bollywood movie Prem Aggan released in year 1998.

Genre Romance

Persons
Actor
Fardeen Khan, Meghna Kothari
Director
Feroz Khan
~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

Dialogues
1) Aurat ke pyar ko kabhi seene mein itni jagah mat do … ke dil ke liye dhadakna mushkil ho jaye
by Fardeen Khan
in Drama
tagged as: Drama, Women

~~ ~~
2) Taqdeer hi zindagi mein ek aaisi adalat hai … jis mein na kabhi sunwai hoti hai, na koi ilzaam saabit kiya jaata hai … bas faisle sunaye jaate hai
in Luck & Destiny
tagged as: Life, Luck & Destiny

~~ ~~
3) Sacha sipahi kabhi hisaab nahi lagata ki desh ne usse kya diya hai … woh hamesha yahi sochta hai ki usne apne pyare desh ke liye kya kiya hai
by Raj Babbar
in Patriotism
tagged as: Patriotism

~~ ~~
4) Andha bhi maut ke ehsaas se ghabrata hai … tu toh aankhon ke hote hue khud hi maut ke mooh mein chala aaya
in Death
tagged as: Action, Death

~~ ~~
5) Jung aur mohabbat mein hamesha do kadam aage badate hai aur ek kadam peeche hatate hai … taaki hamesha ek kadam aage rahe
by Raj Babbar
in War & Battle
tagged as: Inspiration, Romance, War & Battle

~~ ~~
6) Is haramzade ko itni berehami aur bedardi se khatam karo … ki agla janam lene se pehle iski rooh … zindagi aur dharti ke naam se kaanp uthe
by Anupam Kher
in Action
tagged as: Action, Life

~~ ~~
7) Daurate raho jisko ban jaati hai aadat woh … chahe woh ibaadat ho, chahe woh mohabbat ho
in Shayari
tagged as: Romance, Shayari

~~ ~~
8) College ki zindagi hai badi rangeen … par isse sangeen banane waali sirf do hi cheezein hai … permission aur restriction … jinke baap ka naam hai discipline
in Life
tagged as: Comedy, Life

~~ ~~
9) Humko aata hi nahi maut se darna yaaron … hum toh toofan ko samajhte hai khilona yaaron
by Fardeen Khan
in Shayari
tagged as: Death, Shayari, Weather

~~ ~~
10) Handsome aur beautiful mil jaye … toh samajho phool ko khushboo mil gayi aur khushboo ko phool
in Flowers & Trees
tagged as: Flowers & Trees, Romance

~~ ~~
11) Mera mooh chota hai, khopdi badi … is liye kam bolta hoon aur maarta zyada hoon
in Action
tagged as: Action

~~ ~~
12) Ladai ke maidan mein dushman kitna bhi khatarnak kyun na ho … zakhmi sipahi apni jung khud hi ladta hai
by Raj Babbar
in War & Battle
tagged as: Enemy, War & Battle

~~ ~~
13) Kaun kehta hai ki main nahi chakhi, kaun jhoothi kasam khata hai … mehkade se joh bach nikalta hai, teri aankhon mein doob jaata hai
in Shayari
tagged as: Shayari

~~ ~~
14) Tumne ek hi raat mein ek awara ladki ki tarah … apne khandan ki izzat, gairat, sharm aur sharafat ko havas ki chakki mein pees dala
by Anupam Kher
in Drama
tagged as: Drama, Family, Truth & Honesty

~~ ~~
15) Kismat aur aurat ka koi bharosa nahi … jaane kab badal jaaye
by Raj Babbar
in Luck & Destiny
tagged as: Luck & Destiny, Women

~~ ~~
16) Main maut ke darr ko jeb mein rakhkar jeeti hoon … aur chahati hoon ki koi jeb kaat le taaki yeh darr bhi nikal jaye
in Death
tagged as: Death

~~ ~~
17) Hamari mohabbat mein itni taqat zaroor hai ki maut ka chehra dekhkar … hum duniya ko apni dastaan sunane ke liye zinda rahenge
in Romance
tagged as: Death, Romance

~~ ~~
18) Jab tak saanp ka sar na kuchal do … usse mara hua mat samajho
by Anupam Kher
in Animals & Birds
tagged as: Action, Animals & Birds

~~ ~~
19) Haisiyat shakhsiyat se banti hai
by Fardeen Khan
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
20) Raftaar aur pyar ki koi hadh nahi hoti
in Romance
tagged as: Romance

~~ ~~
21) Sapne dekhna bhi zaroori hota hai … insaan ne chaand par kadam bad mein rakha tha … chaand par pahunchne ka sapna pehle dekha tha
in Dreams
tagged as: Dreams, Inspiration

~~ ~~
22) Mohabbat ko daulat aur rutbe ke tarazu mein nahi tola jata
by Raj Babbar
in Romance
tagged as: Money, Romance

~~ ~~
23) Zakhm gehra ho yah mamuli … ab toh har zakhm achcha lagne laga hai
by Fardeen Khan
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
24) Jab do jism milte hai toh jazbaat ki aag se … mohabbat ke sholay uthkar aasmaan ko chu lete hai
in Adult
tagged as: Adult, Romance

~~ ~~
25) Mujhe woh haseen dard dedo jisse aaj ke baad main kisi doosre ke saath na baant sakun … aur mera yeh jism sirf tumhari amanat bankar reh jaye
in Romance
tagged as: Adult, Romance

~~ ~~
26) Aurat ke inhi hoton ne lakhon ghar barbaad kiye hai … aabad kiye hai toh sirf veerane, maikhane, qaid khane aur pagal khane
by Satish Shah
in Women
tagged as: Comedy, House, Women

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Prem Aggan (1998), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *