Silsila (1981) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Silsila 1981 Information of Bollywood movie Silsila (1981)

Details on Persons, Dialogues from Bollywood movie Silsila released in year 1981.

Genre Drama, Romance, Foreign

Persons
Actor
Shashi Kapoor, Amitabh Bachchan, Jaya Bhaduri Bachchan, Rekha, Sudha Chopra, Kulbhushan Kharbanda, Sanjeev Kumar, Deven Verma
Producer
Yash Chopra
Director
Yash Chopra
Music
Hariprasad Chaurasia, Shiv Kumar Sharma
~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

Dialogues
1) Main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai … tum hoti toh kaisa hota … tum yeh kehti, tum woh kehti, tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hasti … tum hoti toh aaisa hota, tum hoti toh waisa hota … main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai
by Amitabh Bachchan
in Poem
tagged as: Poem, Romance

~~ ~~
2) Phool khamosh rehkar bhi apne rang aur khusboo se bahut kuch keh jaate hai
by Amitabh Bachchan
in Flowers & Trees
tagged as: Flowers & Trees

~~ ~~
3) Woh baat joh lafzo mein ada ho jaye … woh baat hi kya hui
by Amitabh Bachchan
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
4) Hum gayab hone waalo mein se nahi hai … jahan jahan se guzharte hai jalwe dikhate hai … dost toh kya, dushman bhi yaad rakhte hai
by Shashi Kapoor
in Enemy
tagged as: Comedy, Enemy

~~ ~~
5) Do lafz hai … tanha, akele … lekin ek saath likh diye jaye toh ek duniya, ek kainaat, ek talash, ek lamha, ek khushi ban sakte hai
by Amitabh Bachchan
in World & Universe
tagged as: Drama, Happiness, World & Universe

~~ ~~
6) Majboor yeh halaat idhar bhi hai udhar bhi, tanhai ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi … kehne ko bahut kuch hai magar kisse kahe hum, kab tak yunhi khamosh rahe aur sahe hum … dil kehta hai duniya ki har ek rasam utha dein, deewar joh hum dono mein hai aaj gira dein … kyun dil mein sulaghte rahe, logon ko bata dein … haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
by Amitabh Bachchan
in Poem
tagged as: Poem, Romance

~~ ~~
7) Sawaal agar khud jawaab ho … toh sawaal, sawaal nahi rehta
by Amitabh Bachchan
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
8) Joh jitna door ho … utna hi paas rehta hai
by Rekha
in Drama
tagged as: Drama

~~ ~~
9) Aaj tak toh gham-e-rozgaar se daaman nahi chuda saka … aap se milne ke baad shayad gham-e-dil se rishta ho jaye
by Amitabh Bachchan
in Romance
tagged as: Life, Romance

~~ ~~
10) Haadsa banke koi khwaab bhikar jaye toh kya ho … waqt jazbaat ko tabdeel nahi kar sakta … door ho jaane se ehsaas nahi mar sakta … yeh mohabbat hai dilon ka rishta … aaisa rishta joh zameenon ki tarah sarhadon mein kabhi taqseem nahi ho sakta … tu kisi aur ki raaton ka haseen chand sahi … meri duniya ke har rang mein shamil tu hai … tujhse roshan hai mere khwaab, meri umeedein … main kisi raah se guzron, meri manzil tu hai
by Amitabh Bachchan
in Poem
tagged as: Dreams, Poem, Romance

~~ ~~
11) Tumhara intezar na karte hue bhi har modh par tumhara intezar kiya … tumhari umeed na rakhte hue bhi maine har kadam par tumhari tamanna ki … tumhe na chahte hue bhi maine tumhe itna chaha ki kisi aur ko chahne ki aarzoo bhi na rahi
by Amitabh Bachchan
in Romance
tagged as: Romance

~~ ~~
12) Yaadon ke jharokhon mein beeti hui baaton ko … ukdhi hui saanson mein kuch lamhon ke raazon ko … pyar ki shabnam mein unsune geeton ko … sunsaan si rahon mein bhoole hue vaadon ko … kaise koi yaad kare, kaise koi yaad kare … khamosh sadaaon mein sapnon bhari raaton ko … bheege hue mausam mein sarke hue aanchal ko … moondi hui aankhon mein dhadakte nainon ko … adh-khule hoton mein pritam ke chumman ko … kaise koi yaad kare, kaise koi yaad kare
by Jaya Bhaduri Bachchan
in Poem
tagged as: Poem, Romance, Weather

~~ ~~
13) Yeh raat hai ya tumhari zulfein khuli hui hai … hai chandni ya tumhari nazaron se meri raatein dhuli hui hai … yeh chand hai ya tumhara kangan, sitaren hai ya tumhara aanchal … hawa ka jhaunka hai ya tumhare badan ki khushboo … yeh pattiyon ki hai sarsarahat ki tumne chupke se kuch kaha hai … yeh soochta hoon main kabse gumsum, ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai ki tum nahi ho, kahin nahi ho … magar yeh dil hai ki keh raha hai ki tum yahin ho, yahin kahin ho
by Amitabh Bachchan
in Poem
tagged as: Poem, Romance, Weather

~~ ~~
14) Waqt jin mein tumhare labon ka rang nahi … woh waqt guzra nahi … tehar gaya hai kahin
by Amitabh Bachchan
in Romance
tagged as: Romance, Time

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Silsila (1981), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *