Udaan (2010) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Udaan 2010 Information of Bollywood movie Udaan (2010)

Details on Persons, Dialogues from Bollywood movie Udaan released in year 2010.

Genre Drama, Foreign

Persons
Actor
Rajat Barmecha, Aayan Boradia, Ronit Roy, Ram Kapoor, Manjot Singh, Anand Tiwari
Director
Vikramaditya Motwane
Music
Amit Trivedi
~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

Dialogues
1) Choti choti chitrayi yaadein, bichhi hui hai lamho ki lawn pe … nange pair unpar chalte chalte itni door aa gaye hai … ki ab bhool gaye hai joote kahaan utare the … edi komal thi jab aaye the, thodi si nazuk hai abhi bhi aur nazuk hi rahegi … in khatti meethi yaadon ki shararat jab tak inhe gudgudati rahe … sach bhool gaye hai joote kahan utaare the … par lagta hai ki ab unki zaroorat nahi
in Poem
tagged as: Clothes & Shoes, Inspiration, Poem

~~ ~~
2) Meri tarah hota agar khud par zara bharosa, toh kuch door tum bhi saath saath aate … rang meri aankhon ka baantte zara sa, toh kuch door tum bhi saath saath aate … nasha aasman ka joh choomta tumhe, hasratein tumhari naya janam paati … khud doosre janam mein meri udaan chhoone, kuch door tum bhi saath saath aate
in Poem
tagged as: Inspiration, Poem

~~ ~~
3) Joh lehron se aage nazar dekh paati, toh tum jaan lete main kya sochta hoon … woh awaaz tumko bhi joh bhed jaati, toh tum jaan lete main kya sochta hoon … zid ka tumhare joh parda sarakta, khidkiyon se aage bhi tum dekh paate … aankhon se aadaton ki joh palke hatate, toh tum jaan lete main kya sochta hoon
in Poem
tagged as: Inspiration, Poem

~~ ~~
4) Har baal ki khaal ki yeh chaal bhi kha jaaye … iske haath padh jaaye toh mahiney saal bhi kha jaaye … kisi behal ka bacha haal joh haal kha jaaye … bemaut marte mann ka yeh malaal kha jaaye … Lalu ka laal kha jaaye, naxal baari ki naal kha jaaye, bachpan ka dhamaal kha jaaye, budhape ki shawl kha jaaye … haya toh chhodo behaya ki chaal bhi kha jaaye … aur agar parosa ja sake toh khayal bhi kha jaaye
in Poem
tagged as: Comedy, Poem

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Udaan (2010), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *