Yamraaj (1998) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Yamraaj 1998 Information of Bollywood movie Yamraaj (1998)

Details on Dialogues from Bollywood movie Yamraaj released in year 1998.

Dialogues
1) Dil todke bhikra diye jaate hai … joh toot nahi sakte woh thukra diye jaate hai … jadh kitni bhi gehri ho mushkil hai khade rehna … joh pedh nahi hai phalte woh katva diye jaate hai
by Prem Chopra
in Shayari
tagged as: Flowers & Trees, Shayari

~~ ~~
2) Aapke shehar ka mausam bada suhana lage … ek lamha chura loon agar bura na lage
by Prem Chopra
in Shayari
tagged as: City & Places, Shayari, Weather

~~ ~~
3) Tumne kursi ko kabhi gaur se dekha hai … kursi ke haath hote hai, paon hote hai, peeth hoti hai, magar kursi ka dil nahi hota … yeh kursi dilwaalon ki nahi, jigar waalon ki rakhail hai
by Gulshan Grover
in Drama
tagged as: Courage, Drama

~~ ~~
4) Hum woh dariya hai hum mein maloom hai apni taqat … hum jahan chal padenge rasta ho jayega … chalna hai toh chalo varna jao bhaad mein … tu nahi mila toh koi aur ho jayega
by Jackie Shroff
in Shayari
tagged as: Shayari

~~ ~~
5) Toofan mein toh hum khushi se jaate hai … yun jhoomkar marte hai ki jee jaate hai … tum toh woh ho jisse samundar kha jaata hai … arre hum toh woh hai joh samundar ko pee jaate hai
by Mithun Chakraborty
in Shayari
tagged as: Shayari, Weather

~~ ~~
6) Aksar log school mein padhte hai aur padhate hai … lekin bahut kam log hote hai joh apne aap mein school hote hai
by Prem Chopra
in Education
tagged as: Education, Shayari

~~ ~~
7) Jis tarah husn aane se nazakat aa jaati hai … ussi tarah mardon mein haisiyat aane se guroor aa jaata hai
in Men
tagged as: Men

~~ ~~
8) Aye aasmaan tere khuda se nahi hai khauff … aye zameen tere aadmi se darr lagta hai
by Prem Chopra
in Shayari
tagged as: Religion & God, Shayari

~~ ~~
9) Zamane ki nazarein hai mere gunahon par … kisi ko apna chehra bhi dikhai deta hai, nahi … tum jahan hote ho wahan hote hai khoon aur laash ke saude … phir bhi vardi par daag dikhai deta hai, nahi
by Mithun Chakraborty
in Shayari
tagged as: Crime, Shayari

~~ ~~
10) Mar gaye toh mar gaye, iski hum mein chinta nahi … jaan jaane ki jaaye, maut aane ki aaye
in Shayari
tagged as: Death, Life, Shayari

~~ ~~
11) Sher ki sawari ki sabse zyada dardnak baat yahi hoti hai … ki jab bhi koi uski sawari se utarna chahta hai … woh sher usse kha jaata hai
by Prem Chopra
in Animals & Birds
tagged as: Animals & Birds

~~ ~~
12) Saare devtaon mein yamraj hi ek aaisa devta hai jiske naam ke baad bhi kuch nahi lagaya jaata … na ji, na babu … aur na hi uske naam ke pehle shri lagaya jaata hai … kyun ki yamraj apne aap mein ek poora naam hai … yamraj sirf yamraj hai
by Gulshan Grover
in Religion & God
tagged as: Death, Religion & God

~~ ~~
13) Sapnon ke haar goothne behti thi zindagi … joh phool kam pad gaye toh kaante pe roh liye
by Prem Chopra
in Life
tagged as: Dreams, Flowers & Trees, Life

~~ ~~
14) Sapna dekhne ka haq sabko hai … lekin aaise sapne ki taraf mat bhaago joh tumhe khudkhushi ki taraf le jaye
by Gulshan Grover
in Dreams
tagged as: Dreams

~~ ~~
15) Upar ke yamraj ko hukum dena padta ki woh kisi ki zindagi ko maut mein badal de … lekin zameen ka yeh yamraj kisi ke hukum ka intezar nahi karta … woh khud maut ka faisla karta hai
by Gulshan Grover
in Death
tagged as: Death, Religion & God, Rowdyism

~~ ~~
16) Sar jiske aage na jhuke woh darwaza kisi aur ka hoga, mera nahi … aur joh har darwaze pe jhuk jaye woh sar kisi aur ka hoga, hamara nahi
by Mithun Chakraborty
in Shayari
tagged as: Shayari

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Yamraaj (1998), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *