Zindagi Na Milegi Dobara (2011) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Zindagi Na Milegi Dobara 2011 Information of Bollywood movie Zindagi Na Milegi Dobara (2011)

Details on Persons, Dialogues from Bollywood movie Zindagi Na Milegi Dobara released in year 2011.

Genre Comedy, Drama, Romance

Persons
Actor
Hrithik Roshan, Farhan Akhtar, Abhay Deol, Katrina Kaif, Kalki Koechlin, Naseeruddin Shah, Ariadna Cabrol, Deepti Naval
Director
Zoya Akhtar
Producer
Ritesh Sidhwani
Music
Shankar Mahadevan, Ehsaan Noorani, Loy Mendonsa
~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

Dialogues
1) Dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, nazar mein khwabon ki bijliyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum … hawa ke jhokon ke jaise aazad rehno seekho, tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho … har ek lamhe se tum milo khole apni baahen, har ek pal ek naya samha dekhe yeh nigaahen … joh apni aankhon mein hairaaniyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum, dilon mein tum apni betaabiyan leke chal rahe ho toh zinda ho tum
by Farhan Akhtar
in Poem
tagged as: Inspiration, Poem

~~ ~~
2) Jab jab dard ka baadal chaya, jab gham ka saaya lehraya, jab aasoon palkon tak aya, jab yeh tanha dil ghabraya … humne dil ko yeh samjhaya, dil aakhir tu kyun rota hai … duniya mein yunhi hota hai … yeh joh gehre sannate hai, waqt ne sabko hi baante hai … thoda gham hai sabka qissa, thodi dhoop hai sabka hissa … aankh teri bekaar hi namm hai, har pal ek naya mausam hai … kyun tu aise pal khota hai, dil aakhir tu kyun rota hai
by Farhan Akhtar
in Poem
tagged as: Inspiration, Poem, Romance

~~ ~~
3) Kya tum mantally challenged ho my bwoy?
by Farhan Akhtar
in Comedy
tagged as: Comedy

~~ ~~
4) Pighle neelam sa behta hua yeh samaan, neeli neeli si khamoshiyan, na kahin hai zameen na kahin aasmaan … sarsaraati huyi tehniyan pattiyan, keh rahi hai ki bas ek tum ho yahan … sirf main hoon meri saansein hai aur meri dhadkane, aisi gehraiyan, aisi tanhaiyan, aur main sirf main … apne hone pe mujhko yakeen aa gaya
by Farhan Akhtar
in Poem
tagged as: Inspiration, Poem

~~ ~~
5) Sieze the day my friend … pehle is din ko poori tarah jiyo, phir chalis ke bare mein soochna
by Katrina Kaif
in Inspiration
tagged as: Inspiration

~~ ~~
6) Insaan ko dibbe mein sirf tab hona chahiye … jab woh mar chuka ho
by Katrina Kaif
in Inspiration
tagged as: Death, Inspiration

~~ ~~
7) Ik baat honthon tak hai joh aayi nahi, bas aankhon se hai jhaankti … tumse kabhi, mujhse kabhi kuch lafz hai woh maangti … jinko pehan ke honthon tak aa jaye woh, awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh … lekin joh yeh ek baat hai, ehsaas hi ehsaas hai … khushboo si hai jaise hawa mein tairti, khushboo joh be-aawaaz hai … jiska pata tumko bhi hai, jiski khabar mujhko bhi hai … duniya se bhi chupta nahi, yeh jaane kaisa raaz hai
by Farhan Akhtar
in Poem
tagged as: Poem, Romance

~~ ~~
8) Dost mujhe Majnu bulate hai
by Farhan Akhtar
in Friendship
tagged as: Comedy, Friendship

~~ ~~
9) Insaan ka kartavya hota hai koshish karna … kaamyabi nakaamyabi sab uske haath mein hai
by Farhan Akhtar
in Inspiration
tagged as: Defeat & Failure, Inspiration, Victory & Success

~~ ~~
10) Kabhi pay check milte waqt … tumhare aankhon mein aasun aye hai?
by Katrina Kaif
in Job & Career
tagged as: Drama, Job & Career

~~ ~~
11) Yeh the mantally sick ho chuka hai
by Abhay Deol
in Comedy
tagged as: Comedy

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Zindagi Na Milegi Dobara (2011), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *