Jeena Isi Ka Naam Hai (2017) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Jeena Isi Ka Naam Hai 2017 Information of Bollywood movie Jeena Isi Ka Naam Hai (2017)

Details on Persons, Dialogues from Bollywood movie Jeena Isi Ka Naam Hai released in year 2017.

Genre Drama, Romance

Persons
Actor
Arbaaz Khan, Himansh Kohli, Ashutosh Rana, Manjari Phadnis, Prem Chopra, Rati Agnihotri, Supriya Pathak
Director
Keshhav Panneriy
~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

Dialogues
1) Main sari duniya se tumhare liye ladh sakta hoon … lekin main tumse nahi ladh sakta
in Drama

~~ ~~
2) Arz-e-niyaz-e-ishq ke kaabil nahi raha … jis dil pe naaz tha mujhe, woh dil dil nahi raha
by Prem Chopra
in Shayari

~~ ~~
3) Jab suraj aankhen band kare, sajke nikalti hai Mumbai … kabhi uljhati, kabhi girati, kabhi sambhalti hai Mumbai … kabhi baap ka thappad, kabhi maa ki godh hai Mumbai … tang galiyon ki bul-bulaiyan, kabhi phaila samundar hai Mumbai … pal pal kachole badalti jhole ka pitara hai Mumbai … sapno bhari aankhon ka, beghar banjaron ka, mohabbat ke maaron ka aasra hai Mumbai … kabhi sangdil toh kabhi humdil … pairon mein chakkar dale har pal daudti hai Mumbai … maano toh maya nagri, na maano toh patthar ka shehar hai Mumbai
by Prem Chopra
in City & Places

~~ ~~
4) Kya hona chahiye aur kya nahi, yeh koi mayine nahi rakhta … joh sachi mein hota hai na, wohi mayine rakhta hai
by Supriya Pathak
in Inspiration

~~ ~~
5) Kabhi dosti rahi, kabhi dushmani rahi … apne ishq ki taqdeer thodi kam hi rahi … har baar koshish ki, har baar manaya khud ko … shayad in haathon ki kismat kuch kam hi rahi
by Arbaaz Khan
in Luck & Destiny

~~ ~~
6) Log humein nahi chhodte hai … hum logon ko chhodte hai
by Ashutosh Rana
in Rowdyism

~~ ~~
7) Phoolon ko chhuyenge toh kaante haath ko lagte hai … lekin uski khoobsurati kam nahi hoti
by Arbaaz Khan
in Flowers & Trees

~~ ~~
8) Kayi baar off-beat cheezein logon ko beat pe laati hai
by Manjari Phadnis
in Comedy

~~ ~~
9) Mumbai ki yahi problem hai … aadmi koode ki jagah par behatta hai … aur kooda aadmi ki jagah pe
by Prem Chopra
in City & Places

~~ ~~
10) Zindagi kabhi kabhi insaan ko umar se zyada umar daraz bana deti hai
by Manjari Phadnis
in Life

~~ ~~
11) Pyar kabhi cheena nahi jaata … na hi khareeda jaata hai … pyar toh sirf mehsoos kiya jaata hai
in Romance

~~ ~~
12) Joh sacrifice karta hai … God usse sabse zyada pyar karta hai
in Inspiration

~~ ~~
13) When you shake hands with somebody … toh unke fingerprints sirf aapke haath par nahi … aapke dil par bhi chhap jaate hai
by Arbaaz Khan
in Drama

~~ ~~
14) Qatra qatra saansein lee thi maine … ek zindagi mein kayi zindagiyan jee thi maine … khwaab khwaab dekhi zindagi ko … aankh mein choli ki tarah khela tha maine … agle modh par ek nayi zindagi thi … uske intezar mein saansein thaam rakhi thi maine
by Manjari Phadnis
in Life

~~ ~~
15) Yahan aaj kal har shaksh, har pal haadsa hone se darta hai … khilona hai joh mitti ka woh fanaa hone se darta hai … hum sabke dilon ke kisi kone mein yeh masoom bache bachiyan … hum badhon ki dekhkar duniya, bada hone se darte hai
by Prem Chopra
in Shayari

~~ ~~
16) Ya toh aap shikaar karte hai ya shikaar ho jaate hai
by Ashutosh Rana
in Action

~~ ~~
17) Pyar mein bahut taqat hoti hai … it can turn poison into medicine … thorns into petals
in Romance

~~ ~~
18) Hosh nahi tha khoya abhi … josh nahi tha soya abhi … dil mein hausle the, aankhon mein sapne the, haath mein kalam thi … zindagi ki dastaan abhi likhni baaki thi
by Manjari Phadnis
in Inspiration

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Jeena Isi Ka Naam Hai (2017), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *