Yahudi (1958) – Dialogues, Songs, Lyrics, Mistakes

Yahudi 1958 Information of Bollywood movie Yahudi (1958)

Details on Persons, Dialogues from Bollywood movie Yahudi released in year 1958.

Persons
Actor
Dilip Kumar, Meena Kumari
Director
Bimal Roy
~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

Dialogues
1) Tumhare hi liye paida hue duniya ke nazare … chamakte hai tumhari roshni se chand aur taare … tumhara gham hai gham, auron ka gham khawab-o-kahani hai … tumhara khoon hai khoon, hamara khoon pani hai
by Sohrab Modi
in Shayari
tagged as: Sadness, Shayari, World & Universe

~~ ~~
2) Na ched ab mujhko, rehne de yahin tak dastan meri … kahunga sach toh jal jayega dil tera, zabaan meri
by Sohrab Modi
in Shayari
tagged as: Shayari, Truth & Honesty

~~ ~~
3) Nikal chalne ki yeh hasrat badi mushkil se nikalegi … kaleja cheer degi baddua joh dil se nikalegi
by Sohrab Modi
in Shayari
tagged as: Shayari

~~ ~~
4) Doob maro is insaaf par, aasun bahao is kanoon par … joh kamzoron ke liye talwar ki dhaar, aur zabardast ke liye bank-e-bahar hai … joh apne liye nagme-e-saaz, aur hamare liye maut ki awaaz hai
by Sohrab Modi
in Law & Order
tagged as: Death, Law & Order, Shayari

~~ ~~
5) Hamari adalat ka hukum maana nahi … manvaya jaata hai
by Nazir Hussain
in Law & Order
tagged as: Drama, Law & Order

~~ ~~
6) Tareef us khuda ki jisne jahan banaya … unko haseen banakar mujhko jawan banaya
by Dilip Kumar
in Shayari
tagged as: Religion & God, Romance, Shayari

~~ ~~
7) Jise paala tha khoon-e-dil se zaar aur nathavan hokar … khabar kya thi wohi degi daga ek din jawan hokar
by Sohrab Modi
in Shayari
tagged as: Shayari

~~ ~~
8) Roman kanoon faulad ki tarah sakht aur waqt ki tarah atal hai
by Nazir Hussain
in Law & Order
tagged as: Law & Order, Time

~~ ~~
9) Aye khuda tu jis haal mein rakhega khush rahenge … teri khushi mein khush tera khidmat guzar hai … banda hoon tera tu mera parvardigar hai
by Sohrab Modi
in Shayari
tagged as: Happiness, Religion & God, Shayari

~~~ ~~~ ~~~ ~~~ ~~~

In case there is some content missed or incorrect from the movie Yahudi (1958), one can add those in comments section. Also, if there is a wrong dialogue, category, celebrity, song or lyric it can be mentioned in comments.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *